Paroles de Aman ki Asha

Rahat Fateh Ali Khan
72613
Dikhayi dete hain door tak ab bhi saaye koi
Magar bulane se waqt laute na aaye koi
Chalo na phir se bichaye dariya, bajaye dholak
Laga ke mehndi, surile tappe sunaye koi
Patang udaye, udaye .
Patang udaye, chatton pe chadke mohalle wale
Falak to sanja hai, uss mein paiche ladaye koi
Utho, utho kabaddi kabaddi khelenge sarhadon par
Jo aaye ab the to laut kar phir na jaaye koi
Nazar mein rehte ho, jab tum nazar nahi aate
Ye sur milate hain, jab tum idhar nahi aate
Nazar mein rehte ho, jab tum nazar nahi aate
Ye sur bhulate hain, ye sur bhulate hain
Jab tum idhar nahi aate
Ye sur milate hain, jab tum idhar nahi aate
InterprèteRahat Fateh Ali Khan
LabelIUS
Paroles ajoutées par nos membresParoles ajoutées par nos membres