Paroles de Din Mein Kab Socha

Nusrat Fateh Ali Khan
Din main kab socha karte the, Soyenge hum raat kahan
Ab aise aawara ghoomein apne wo halaat kahan
Apne wo halaat kahan
Din main kab socha karte the,
Kab the taiz-rawi per nadaan ab manzil par tanha hain
Kab the taiz-rawi par nadaan ab manzil par tanha hain
Soch rahe hain in hathon se choota tha wo haath kahan
Choota tha wo haath kahan
Din main kab socha karte the, Soyenge hum raat kahan
Din main kab saoch karte the
Kya tum ne unko dekha hai kya unse baatein ki hain
Kya tum ne unko dekha hai kya unse baatein ki hain
Tum ko kya samjhayen yaaro khayi hum ne maat kahan
Khayi hum ne maat kahan
Din main kab socha karte the, Soyenge hum raat kahan
Din main kab socha karte the
Barso baad mile hum unse dono the sharminda se
Barso baad mile hum unse dono the sharminda se
Dono ne chahaa bhi laikin phir aati wo baat kahan
Phir aati wo baat kahan
Din main kab socha karte the, Soyenge hum raat kahan
Ab aise aawara ghoomein apne wo halaat kahan
Apne wo halaat kahan
Din main kab socha karte the
InterprèteNusrat Fateh Ali Khan
LabelBLV
Paroles ajoutées par nos membresParoles ajoutées par nos membres