Paroles de Mere Samne Wali Khidki Mein

Kishore Kumar
1621
Are he...
La la la la la la la la la la la la la lah.
Hmmm he hee
(Mere saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai) -2
Afsos ye hai ke vo hamse
Kuchh ukhda ukhda rehta hai
Mere saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Jis roz se dekha hai usko
Ham shamaa jalaana bhool gaye
Dil thaam ke aise baithe hain
Kahin aana jaana bhool gaye
Ab aath pahar in aankhon mein
Vo chanchal mukhda rehta hai
Mere saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
(Barsaat bhi aakar chali gayi
Baadal bhi garaj kar baras gaye) -2
Par uski ek jhalak ko ham
Ai husn ke maalik taras gaye
Kab pyaas bujhegi aankhon ki
Din raat ye dukhda rehta hai
Mere saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Afsos ye hai ke vo hamse
Kuchh ukhda ukhda rehta hai
Mere saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
InterprèteKishore Kumar
LabelIUS
Paroles ajoutées par nos membresParoles ajoutées par nos membres